donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Jawaid Hayat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* DhaRhkanei.N Dil Ki Karei.N Mujh Ko Pareshaa.N Jaise *
DhaRhkanei.N Dil Ki Karei.N Mujh Ko Pareshaa.N Jaise
Merey Seene Mei.N Koi Raaz Ho Pinhaa.N Jaise

Meri Her Aah Merey Dil Mei.N Hi GhuT Jaati Hai
See Gayaa Koi Mera Chaak Girebaa.N Jaise

Ashk Pee Ker Bhi Meri Tishna Labi Hai Baaqi
Mausam e Gul Mei.N Chaman Ho Koi Weeraa.N Jaise

Woh Merey Dil Pe Musallat Hai.N Merey Ghum Ki Tarah
Woh Na They Pehle Kabhi Itney Meherbaa.N Jaise

Maut Ke Baad Huwe Dard Jo Aasaa.N Mujh Per
Zindagee Meri Huwii Mujh Se Pashemaa.N Jaise

Umr Bher Woh Merey Hamraah BhaTakta Hi Rahaa
Mera Saaya Bhi Huaa Mujh Se Pareshaa.N Jaise

Un Ko Bhooley Hai.N Na Bhoolengey 'Hayat' Aur Kabhi
Un Ki Yaadei.N Hai.N Merey Dard Ka Darmaa.N Jaise

By Jawaid 'Hayat'
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 369