donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Jawaid Hayat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Main Na Peeney Ki Toba To KarlooN Magar *
‘एक गीत’ 


मैं न पीने की तोबा तो कर लूँ मगर 
मैयकदा छोड़ कर मैं किधर जाऊँ !!

कैसे बुझ पायेगी मेरे दिल की अगन 
उस को न देखूँ तो झूमे मेरा बदन 
उसकी ख़ुशबू से महके हैं दिल और जिगर 
देख कर फूलों सा रंग बहकी नज़र 
है निहाँ उसकी शोख़ी सितारों मे भी 
हेच हैं उसके आगे नज़ारे सभी 
चाँद सूरज से रौशन है दुनिया अगर 
मेरा दिल उसके दम से है रौशन मगर 
उसको होंटों से छूकर मिले ज़िन्दगी 
उसको छोड़ूँ तो कब तक रहे ज़िन्दगी 

छोड़ने का है मतलब कि मर जाऊँ 
अपने सीने को ख़ुद चाक़ कर जाऊँ 
मैयकदा छोड़ कर मैं किधर जाऊँ !! 

यह समझते हैं सब कि शराबी हूँ मैं 
कौन जाने कि चेहरा हिजाबी हूँ मैं 
मेरे पीने में चाहत का है इम्तेज़ाज 
मेरे सीने में है आशिक़ी का मिज़ाज 
जिस में हुस्न आज भी मुझ को बाक़ी मिला 
सारे आलम में बस एक साक़ी मिला 
मैं न जानूँ कि होती है क्या मैयकशी 
मैं बुझाता हूँ बस आग दिल की लगी 
मैं न जाता कभी मैयकदे मे अगर 
जो न खुलता वहाँ मेरे साक़ी का दर 
मैं शराबी नहीं, मैं शराबी नहीं 
उसकी आँखों से पीना ख़राबी नहीं 

छोड़ कर उसका दामन अगर जाऊँ 
तो ज़हर पीके थोड़ा सा, मर जाऊँ 
मैयकदा छोड़ कर मैं किधर जाऊँ !! 
जावेद हया॔त
---------------------------------------------------
Main Na Peeney Ki Toba To KarlooN Magar
Maikada ChhoRH ker Main kidher JaooN

kaise Bujh Payegi Merey Dil Ki Agan
Usko Na DekhooN To Jhoomey Mera Badan
Uski Khushboo Se Mehkey Hain Dil Aur Jigar
Dekh Ker PhooloN Sa Rang, Behki Nazar
Hai NihaaN Uski Shokhi SitaaroN Mein Bhi
Hech HaiN Uske Aagey Nazaarey Sabhi
Chand Sooraj Se Roshan Hai Dunia Agar
Mera Dil Uske Dam Se Hai Roshan Magar
Usko HotoN Se Chhookar Miley Zindagi
Usko ChhoRhooN To Kab Tak Rahey Zindagi

ChhoRhney Ka Hai Matlab Ke Mer JaaooN
Apney Seeney Ko Khud Chaak Ker JaaooN
Maikada ChhoRh Ker Main Kidher JaaooN

Yeh Samajhtey Hain Sab Ke Sharaabi HooN MaiN
Kon Jaaney Ke Chehra Hijaabi HooN MaiN
Merey Peeney MeiN Chaahat Ka Hai Imtezaaj
Merey Seeney MeiN Hai Aashiqee Ka Mizaaj
Jis MeiN Husn Aaj Bhi Mujh ko Baaqi Mila
Saarey Aalam MeiN Bas Ek Saaqi Mila
MaiN Na JaanooN Ke Hoti Hai Kiya Maikashee
MaiN Bujhaata HooN Bas Aag Dil Ki Lagi
MaiN Na Jaata Kabhi Maikadey MeiN Agar
Jo Na Khulta WahaN Merey Saaqi Ka Dar 

MaiN Sharaabi NahiN Main Sharaabi NahiN
Uski AankhoN Se Peena Kharaabi NahiN 

ChhoRh Ker Uska Daaman Agar JaaooN
To Zahar Peekey ToRha Sa, Mer JaaooN
Maikada ChhoRh Ker MaiN Kidher JaaooN 

By Jawaid 'Hayat'
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 385