donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Jawaid Hayat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Mai.N Na Peeney Ki Toba To Karloo.N Magar *
Mai.N Na Peeney Ki Toba To Karloo.N Magar
Maikada ChhoRH ker Mai.N kidher Jaoo.N
  
 
kaise Bujh Payegi Merey Dil Ki Agan
Usko Na Dekhoo.N To Jhoomey Mera Badan
Uski Khushboo Se Mehkey Hai.N Dil Aur Jigar
Dekh Ker Phoolo.N Sa Rang, Behki Nazar
Hai Nihaa.N Uski Shokhi Sitaaro.N Mein Bhi
Hech Hai.N Uske Aagey Nazaarey Sabhi
Chand Sooraj Se Roshan Hai Dunia Agar
Mera Dil Uske Dam Se Hai Roshan Magar
Usko Hoto.N Se Chhookar Miley Zindagi
Usko ChhoRhoo.N To Kab Tak Rahey Zindagi
 
 
ChhoRhney Ka Hai Matlab Ke Mer Jaaoo.N
Apney Seeney Ko Khud Chaak Ker Jaaoo.N
Maikada ChhoRh Ker Mai.N Kidher Jaaoo.N
 
 
Yeh Samajhtey Hain Sab Ke Sharaabi Hoo.N Mai.N
Kon Jaaney Ke Chehra Hijaabi Hoo.N Mai.N
Merey Peeney Mei.N Chaahat Ka Hai Imtezaaj
Merey Seeney Mei.N Hai Aashiqee Ka Mizaaj
Jis MeiN Husn Aaj Bhi Mujh ko Baaqi Mila
Saarey Aalam Mei.N Bas Ek Saaqi Mila
Mai.N Na Jaanoo.N Ke Hoti Hai Kiya Maikashee
MaiN Bujhaata Hoo.N Bas Aag Dil Ki Lagi
MaiN Na Jaata Kabhi Maikadey Mei.N Agar
Jo Na Khulta WahaN Merey Saaqi Ka Der
 
 
Mai.N Sharaabi Nahi.N  Mai.n Sharaabi Nahi.N
Uski AankhoN Se Peena Kharaabi Nahi.N
 
 
ChhoRh Ker Uska Daaman Agar Jaaoo.N
To Zahar Peekey ToRha Sa, Mer Jaaoo.N
Maikada ChhoRh Ker MaiN Kidher Jaaoo.N
 
 
By Jawaid 'Hayat'
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 403