donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Jawaid Hayat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ehde-Wafa Ke Baad Phir Aaraam Na Mila *
Ehde-Wafa Ke Baad Phir Aaraam Na Mila
Subha Ko Gar Mila To Sar-e-Sham Na Mila
Tishna-Labi Ko Ashk Bhi Aankho.N Se Na Mile
Saaqi Ki Bazm Mei.N Bhi Koi Jam Na Mila
Ehde-Wafa Ko Sab Ne Diya Khudkushi Ka Naam
Qaatil Ko Merey Qatl Ka Ilzaam Na Mila
Uski Nazar Ke Teer Se Bach Ker Gayaa Hai Kaun
Hai Kaun Jise Maut Ka Paighaam Na Mila
Mash-hoor Huwe Aur Sitam Karke Sitam-Ger
Ehle-Junoo.N Ko Zarf Ka Inaam Na Mila
Ruswa Kiya Mujhey Hi Faqat Usney Bazm Mei.N
Mehfil Mei.N Koi Doosra Badnaam Na Mila
Ulfat Mei.N Meri Maut Ko Samjha Wo Inteha
MiTTi Ko Mera Jism Mila Naam Na Mila.
BaNTey 'Hayat' Phool Muhabbat Ke Har Taraf
Bas Iske Siwa Aur Hamei.N Kaam Na Mila
By Jawaid Hayat
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 435