donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Jigar Moradabadi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Tabiiyat in dinoN be-gaana-e-Gham hotii jaatii hai, *
Tabiiyat in dinoN be-gaana-e-Gham hotii jaatii hai,
mere hisse ki goyaa har Khushii kam hotii jaatii hai,
qayaamat kyaa! ye ai husn-e-do-aalam hotii jaatii hai,
ke mehfil to vohii hai, dilkashi kam hotii jaati hai,
(husn-e-do-aalam : beauty of the two worlds; dilkashii : charm)
vohii mai-Khaana-o-sahbaa, vohi saaghar, vohii shiishaa,
magar aavaaz-e-nushaanosh maddham hotii jaatii hai,
(mai-Khaana-o-sahbaa : tavern and the wine)
vohii hai shaahid-o-saaqii magar dil bujhtaa jaataa hai,
vohii hai shammaa lekin raushnii kam hotii jaatii hai,
(shaahid : witness; saaqii : cup-bearer)
vohii hai zindagii lekin “Jigar” yeh haal hai apnaa,
ke jaise zindagii se zindagii kam hotii jaatii hai.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 385