* Haa’n kis ko hai mayassar ye kaam kar guzarnaa *
Haa’n kis ko hai mayassar ye kaam kar guzarnaa
ik baankpan se jiinaa ik baankpan se marnaa
dariyaa kii zindagii par sadqe hazaar jaane
mujh ko nahii’n gavaaraa saahil kii maut marnaa
saahil ke lab se puuchho dariyaa ke dil se puuchho
ik mauj-e-tah-nashii’n kaa muddat ke baad ubharnaa
jo ziist ko na samajhe jo maut ko na jaane
jiinaa unhii’n kaa jiinaa maranaa unhii’n kaa marnaa
|