donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Jigar Moradabadi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Mujhe de rahe’n hai’n tasalliyaa’n vo har ek taazaa payaam se *
Mujhe de rahe’n hai’n tasalliyaa’n vo har ek taazaa payaam se
kabhii aake manzar-e-aam par kabhii hat ke manzar-e-aam se

na Gharaz kisii se na vaastaa, mujhe kaam apane hii kaam se
tere zikr se, terii fikr se, terii yaad se, tere naam se

mere saaqiyaa, mere saaqiyaa, tujhe marhabaa, tujhe marhabaa
tuu pilaaye jaa, tuu pilaaye jaa, isii chashm-e-jaam ba jaam se

terii subh-o-aish hai kyaa balaa, tujhe ae falak jo ho hausalaa
kabhii karale aake muqaabilaa, gham-e-hijr-e-yaar kii shaam se
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 389