donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Josh Malihabadi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Soz-e-Gham deke mujhe us ne ye irshaad kiyaa *
Soz-e-Gham deke mujhe us ne ye irshaad kiyaa,
jaa tujhe kash-ma-kash-e-dahar se aazaad kiyaa,

vo kare.n bhii to kin alfaaz me.n teraa shikvaa,
jin ko terii nigaah-e-lutf ne barbaad kiyaa,

dil kii choTo.n ne kabhii chain se rahnaa na diyaa,
jab chalii sard havaa mai.n ne tujhe yaad kiyaa,

aise me.n mai.n tere taj-takalluf pe nisaar,
phir to farmaaye vafaa aap ne irshaad kiyaa,

is kaa ronaa nahii.n kyo.n tumne kiyaa dil barbaad,
is kaa Gham hai ki bahut der me.n barbaad kiyaa,

itnaa maasuum huu.N fitrat se, kalii jab chaTkii,
jhuk ke mai.n ne kahaa, mujhse kuchh irshaad kiyaa,

merii har saa.Ns hai is baat kii shaahid-e-maut,
mai.n ne har lutf ke mauqe pe tujhe yaad kiyaa,

mujhko to hosh nahii.n tumko Khabar ho shaayad,
log kahate hai.n ki tumane mujhe barbaad kiyaa,

vo tujhe yaad kare jisane bhulaayaa ho kabhii,
hamane tujh ko na bhulaayaa na kabhii yaad kiyaa,

kuchh nahii.n is ke sivaa 'Josh' hariifo.n kaa kalaam,
vasl ne shaad kiyaa hijr ne naashaad kiyaa.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 369