donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Kaifi Azmi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Patthar ke Khudaa vahaaN bhii paaye, *
Patthar ke Khudaa vahaaN bhii paaye,
ham chaaNd se aaj lauT aaye,
diivaareN to har taraf khaRii haiN,
kyaa ho gaye meh’rbaaN saaye,
jangal kii havaayeN aa rahii haiN,
kaaGhaz kaa ye shah’r uR na jaaye,
Lailaa ne nayaa janam liyaa hai,
hai Qais ko’ii jo dil lagaaye,
hai aaj zamiiN kaa ghus’l-e-sehat,
jis dil meN ho jitnaa Khuun laaye,
sehraa sehraa lahuu ke Kheme,
phir pyaase lab-e-Furaat aaye,
Qais : Another name for Majnuu
ghus’l-e-sehat : Bathing after recovery from sickness
lab-e-Furaat : Bank of river Euphrates
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 372