|
* Tum pareshan na ho bab-e-karam va na karo, *
Tum pareshan na ho bab-e-karam va na karo,
Aur kuchh der pukarunga chala jaunga,
Isi kuche me'n jaha'n chaand uga karte hai'n,
Shab-e-tarik guzarunga chala jaunga,
Raasta bhul gaya ya yaha'n manzil hai meri,
Koi laya hai ya khud aya hu'n malum nahi'n,
Kahte hai'n husn ki nazare'n bhi hasi'n hoti hai'n,
Mai'n bhi kuchh laya hu'n kya laya hu'n malum nahi'n.
|
|