|
* Ye andhi ye tufan ye tez dhare, *
Piiri:
Ye andhi ye tufan ye tez dhare,
Karhakte tamashe gar jate nazare,
Andheri faza sans leta samandar,
Na ham_rah mishal na gardun pe tare,
Musafir kharha rah abhi ji ko mare.
Shabab:
Usi ka hai sahil usi ke kagare,
Talatum me'n phans kar jo do hath mare,
Andheri faza sans leta samandar,
Yu'n hi sar patakte rahenge ye dhare. |
|