|
* Ishq ki masti ho to har gham khushi ban kar rahe, *
Ishq ki masti ho to har gham khushi ban kar rahe,
Dard bhi seen eke ander raagni ban kar rahe,
Soz walo’n ko zarurat saaz ki hoti nahi,
Dil se jo aawaz nikle baansari ban kar rahe,
Dosti bhi kijiye to dushmani ban kar rahe,
Allah Allah maslehat ki yeh karishma saaziya’n,
Maajraye guftani na guftani banker rahe,
Zabt hi “Aajiz” munasib hai kahi’n aisa na ho,
Tera rona saari mahfil mei’n hansi ban kar rahe.
|
|