* Jhoothii sachchii aas pe jiinaa kab tak aakhir kab tak *
Jhoothii sachchii aas pe jiinaa kab tak aakhir kab tak
may kii jagah Khuun-e-dil piinaa kab tak aakhir kab tak
sochaa hai ab paar utarenge yaa takaraa kar doob marenge
tuufaanon kii zad pe safiinaa kab tak aakhir kab tak
ek mahiine ke vaade par saal guzaaraa phir bhii na aaye
vaade kaa ye ek mahiinaa kab tak aakhir kab tak
saamane duniyaa bhar ke Gham hain aur idhar ik tanahaa ham hain
saikadon patthar ik aaiinaa kab tak aakhir kab tak
|