donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Kazim Jarwali
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kaise karta hai chaman ashk fishaani suniye, *
Kaise karta hai chaman ashk fishaani suniye,
Ek masoom ki chhoti si kahani suniye,
Jiski rudaad hai khud uski zubani suniye,
Be zaban phool ki ejaz bayani suniye,

Karbala walon ka har naqshe qadam taza hai.
Ghunchao gul mein bhi shabbir ka gham taza hai.

Main hun wo phool jo har dawat-e-matam mein raha,
Main hun wo phool jo kausar kabhi zamzam mein raha,
Main hun wo phool jo tatheer ki shabnam mein raha,
Main hun wo phool jo abbas ke parcham mein raha

Meri har phool se taseer juda milti hai.
Meri khushbu se mareezon ko shifa milti hai.

Sabz patton se mili mujh ko Hasan ki chahat,
Khoone sarwar ki badolat hai ye meri rangat,
Mujhko Asghar ke tabassum se mili hai shohrat,
Rishtaye khake shifa ne mujhe bakhshi nakhat,

Meri takhleeq huyee ajre risalat ke liye.
Main chuna jata hhun izhaare aqeedat ke liye.

Karbala wale bahatter pa fida rahta hun,
Main muharram mein sada mahwe aza rahta hun,
Main aza khane ki chaukhat pa saja rahta hun,
Zikre asghar ki badaulat main khila rahta hun,

Ek besheer ne bakhshi hai ye daulat mujhko.
Hai muharram mein bhi hansne ki ijazat mujhko.

Log taboot ki chader mein sajate hain mujhe,
Taazia khano mein kis shan se late hain mujhe,
Apne bachon ko tabaruk mein khilate hain mujhe,
Main jo gir jaun to palkon se uthate hain mujhe,

khush naseebi hai meri shah ke gham tak jana.
Meri meraj hai ghazi ke alam tak jana.

Main hun sooraj ka dulara main hawaon ka habeeb,
Kaam mera hai nirala to meri shaan ajeeb,
Aasmano se bhi uncha hai bahot mera naseeb,
Mujhko parcham mein jagah milti hai panje ke qareeb,

Naam-e-Abbas ki tasbeeh padha karta hun.
Guftugu mashke sakeena se kiya karta hun.

Dard samjhe to koi kash mere haron ka,
Saath achha nahin lagta hai mujhe kharon ka,
Shauq hai taj ki zeenat ka na dastaron ka,
Muntazir rahta hun gulshan mein azadaron ka,

Taaziye par mujhe le ja ke chadha dete hain.
Sare nabiyon se meri shaan badha dete hain.

Bad naseebi hai kisi aur taraf jane mein,
Mujh ko mil jaye jagah Shah ke kashaane mein,
Lutf khilne ka nazar aayega murjhane mein,
Main bahot chain se rahta hun azakhane mein,

Aarzoo jiski hai mujhko wahi taameer mile.
Kuchh mile ya na mile rauzaye shabbeer mile.

Be zaban ki bhi ibat ke saliqe dekho,
Mera kaba mera qibla mere sajde dekho,
Kitne mazboot hain shabbeer se rishte dekho,
Aao samane aza mein mere tukde dekho,

Lutf khilne ka mila hai mujhe murjhane main.
Aakhri saans jo guzri hai azaa khane mein.

Mujh ko Zehra se milega meri ulfat ka sila,
Ashk bhar aaye suni jab kabhi matam ki sada,
Meri nakhat se muatter hai muharram ki faza,
Meri saanson mein hai Abbas ke parcham ki hawa,

Jab kabhi chhod ke duniya ka chaman jaunga.
Baghe jannat ke darakhton mein nazar aaunga.

Aa rahi thi daro deewar se hal min ki sada,
Mere kano ne bhi aawaz ko mahsoos kiya,
Phool ghabrae baharon ne chaman chhod diya,
Shor uthta tha ke ye kaisi qayamat hai bapa,

Nusrat-e-haq ke liye main bhi zade teer mein tha.
Roze aashoor safe Asghar-e-besheer mein tha.

Daastan phool ki kitni hai anokhi likhkhi,
Dekhna jo bhi sune ga nahin bhoole ga kabhi,
Jis taraf dekho udher khuld ki khushbu hai basi,
Aaj KAZIM ko dua degi naseeme sahri,

Aale ath'har ki seene mein mohabbat rakhe.
Uske har phool ko Allah salamat rakhe.
****
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 709