|
* Be-qaraarii gayii, qaraar gayaa, *
Be-qaraarii gayii, qaraar gayaa,
tark-e-ishq aur mujh ko maar gayaa,
vo jo aaye to Khushk ho gaye ashk,
aaj Gham kaa bhii aitbaar gayaa,
ham na haNs hii sake, na hii ro sake,
vo gaye yaa har iKhtiyaar gayaa,
aap kii zid-e-be-mahal se Kaleem,
sab kii nazroN kaa aitbaar gayaa,
aa gaye vo to ab ye ronaa hai,
lutf-e-Gham, lutf-e-intizaar gayaa,
kis maze se tere baghair “Khumar”,
be jiye zindagii guzaar gayaa.
|
|