donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Khumar Barabankvi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jhunjhlaaye haiN, lajaaye haiN phir muskuraaye haiN, *
Jhunjhlaaye haiN, lajaaye haiN phir muskuraaye haiN,
kis ehtimaan se ham unheN yaad aaye haiN,
ab jaa ke aah karne ke aadaab karne haiN,
duniyaa samajh rahii hai ke ham muskuraaye haiN,
guzre se mai-kade se taubaa ke baad ham,
kuch der to aadatan bhii qadam laRkhaRaaye haiN
ai josh-e-giriyaa dekh na karnaa Khajil mujhe,
aaNkheN merii zaruur haiN, aaNsuu paraaye haiN,
ai maut, ai bahisht-e-sukuuN aa khush’aamde,
ham zindagii meN pehle-pehal muskuraaye haiN,
jitnii bhii mai-kade meN hai saaqii pilaa de aaj,
ham tashnaa-kaam zuh’d ke sehraa se aaye haiN,
insaan jiite jii kare taubaa KhataaoN se,
majbuurioN ne kitne farishte banaaye haiN,
Kaabe meN Khairiyat to hai hazrat-e-Khumar,
ye dair hai janaab yahaaN kaise aaye haiN.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 391