donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Khumar Barabankvi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ek pal meN ek sadii kaa mazaa ham se puuchhiye, *
Ek pal meN ek sadii kaa mazaa ham se puuchhiye,
do din kii zindagii kaa mazaa ham se puuchhiye,
bhuule haiN raftaa raftaa unheN mudattoN meN ham,
qistoN meN Khud-kushii kaa mazaa ham se puuchhiye
aaGhaaz-e-aashiqii kaa mazaa aap jaaniye,
anjaam-e-aashiqii kaa mazaa ham se puuchhiye,
jalte diyoN meN jalte gharoN jaise zau kahaaN
sarkaar raushnii kaa mazaa ham se puuchhiye,
vo jaan hii gaye ke hameN un se pyaar hai,
aaNkhoN kii muKhbarii kaa mazaa ham se puuchhiye,
haNsne kaa shauq ham ko bhii thaa aap kii tarah,
haNsiye magar haNsii kaa mazaa ham se puuchhiye,
ham taubaa kar ke mar gaye qabl-e-azal “Khumar”,
tauhiin-e-maikashii kaa mazaa ham se puuchhiye
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 322