|
* HaNsne waale ab eik kaam kare.n *
HaNsne waale ab eik kaam kare.n,
jashn giriyaa ka ahtamaam kare.n.
hum bhii kar le.n jo raushanii ghar me.n,
phir a.ndhere kahaa.n qayaam kare.n.
mujh ko mehruumii-e-nazaaraa qabuul,
aap jalve na aap ke aam kare.n.
ik guzaarish hai hazrat-e-naaseh,
aap ab aur koyi kaam kare.n.
aa chale.n us ke dar pe ab ay dil,
zindagii ka safar tamaam kare.n.
haath hatataa nahii.n hai dil se 'Khumaar'
hum unhe.n kis tarah salaam kare.n. |
|