donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Khumar Barabankvi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Husn jab mehr’baaN ho to kyaa keejiye, *
Husn jab mehr’baaN ho to kyaa keejiye,
ishq kii maGfirat kii du’aa keejiye,
(mehr’baaN : generous; maGfirat : pardon, forgiveness)
is saliiqe se unse gilaa keejiye,
jab gilaa keejiye haNs diyaa keejiye,
duusroN par agar tabsiraa keejiye,
saamne aaiinaa rakh liyaa keejiye,
(tabsiraa : criticism)
ap sukh se haiN tark-e-talluq ke baad,
itnii jaldii na ye faislaa keejiye,
(tark-e-talluq : breaking off)
ko’ii dhokhaa na khaa jaaye merii tarah,
aise khul ke na sabse milaa keejiye
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 359