donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Khumar Barabankvi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Gham-e-jaanaaN ko Gham jaane hu’e haiN, *
Gham-e-jaanaaN ko Gham jaane hu’e haiN,
Khirad vaale bhii diivaane hue’e haiN,
idhar aa ai Khushii, ai muKhbir-e-Gham,
tujhe ham Khuub pahchaane hu’e haiN,
bahut Khush haiN merii gustaaKhion par,
ba-zaahir jo buraa maane hu’e haiN,
Khudaa samjhaane vaaloN se bachaaye,
ham ab sach-much hii diivaane hu’e haiN,
maiN naa-vaaqif nahiiN dair-o-haram se
ye viiraane mere chhaane hu’e haiN,
khaRe haiN mai-kade ke dar pe zaahid,
na jaane dil meN kyaa Thaane hu’e haiN,
“Khumar” is daur meN zikr-e-muhabbat,
yaqiinan aap diivaane hu’e haiN.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 368