donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Khumar Barabankvi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Mile haiN ehtiyaatan un se ham be-gaanaavaar aksar, *
Mile haiN ehtiyaatan un se ham be-gaanaavaar aksar,
adaa karnaa paRaa hai ye bhii farz-e-naa-gavaar aksar,
khataayeN karte karte taubaa kar lii hai “Khumar” aksar,
taRap kar rah gayii hai rahmat-e-parvardigaar aksar,
vo yuN aaye haiN mere saamne be-ikhtiyaar aksar,
mujhe karnaa paRaa hai aap apnaa intizaar aksar,
baRii muskil se dil maayuus hotaa hai muhabbat meN,
kiyaa hai maiN ne ek paimaaN-shikan kaa aitbaar aksar,
jo kaanTe ban ke khaTke haiN diloN meN ahl-e-gulshan ke,
baRhaayaa hai unhiiN kaanToN ne gulshan ka viqaar aksar,
zamaanaa ho gayaa tark-e-muhabbat ko magar ab tak,
muhabbat kaam apnaa kar hii jaatii hai “Khumar” aksar.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 360