* Parhha hai dasht mein pehla parhhao humsafaro *
Parhha hai dasht mein pehla parhhao humsafaro
yeh raat kaisey kateigi..bataao humsafaro ?
yahan to shab ki khamoshi sey dil larazta hai
zara qareeb hi kheimey lagao humsafaro
kahaN ka azm e safar hai, kahaN sey aaye haiN?
na poochho hum sey,tum apni sunao humsafaro
hai iintezar mein Suraj naye safar kay liye
hisar e khwab sey baahar to aao humsafaro
ab aur seh na sakoonga azaab e humsafri
bharey nahiN abhi mazi kay ghao humsafro
chalo ik aur tamashey ka ikhtTaam hua
ik aur raat ka parda girao humsafro
shikan sey kaisey bachaogey Shaad chehroN ko?
safar mein rehta nahin rakh-rakhao humsafaro
***** |