donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Khushbir Singh Shaad
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Parindey beKhabar they sab panaaheiN kat chuki haiN *
Parindey beKhabar they sab panaaheiN kat chuki haiN
safar sey laut kar dekha ke shaakheiN kat chuki haiN
 
meiN apni zaat meiN maqtal hooN apni zindagi ka
mirey seeney meiN janey kitni saaNseiN kat chuki hain
 
laraz jata hooN ab to eik jhonkey sey bhi aksar
meiN woh Khema hooN jis ki sab TanaabeiN kat chuki haiN
 
bahut be-rabt rehney ka yeh khamyaaza hai shayad
ke manzil saamney hai aur RaaheiN kat chuki hain
 
naye manzar kay khwaaboN sey bhi dar lagta hai unko
puraney manzaroN sey jin ki AankheiN kat chuki haiN
 
hameiN tanhaai kay mausam ki aadat parh chuki hai
ke is mausam meiN ab to kitni raateiN kat chuki haiN
 
ik aisa shor khamoshi ney barpa kar diya hai
ke ;Shaad; ab har samaAt sey sadaaein kat chuki haiN
******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 370