donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Khushbir Singh Shaad
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Waqt kay hamraah saansoN ka ziaN hotey huye *
Waqt kay hamraah saansoN ka ziaN hotey huye
dekhta rehta hooN khud ko raaigaN hotey huye
 
jaanta hooN karb meiN bujhtey huye ehsaas ka
meney dekha hai SharaaroN ko dhuaN hotey huye
 
kis Qadar bad-rang tuney apna zaahir kar liya
aur meiN khush-rang hooN khud mein nihaN hotey huye
 
 
do jazeeroN mein theiN baaham raat yeh sargoshiaN
muztarib hai kyuN samandar be-karaaN hotey huye?
 
meiN zabaaN rakhtey huye bhi kis qadar khaamosh hooN
ghul macha deti haiN aankheiN be-zabaaN hotey huye
 
miharbaN ik saaye ney awaaz dey kar yeh kaha
bheegta hai dhoop mein kyuN SaaibaN hotey huye?
 
meiN zameeN ho kar bhi janey kis nashey mein choor tha?
munkasir tha kis qadar woh AasmaN hotey huye
 
ansuna sa kar diya unko safar kay shauq ney
dil mein andeishey they jo ghar sey rawaaN hotey huye
 
;Shaad; yeh maazi sey ley kar haal tak ka hai safar
zakhm ko barsoN lagey haiN ik NishaN hotey huye
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 411