donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Khwaja Mir Dard
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Duniyaa me.n kaun kaun na yak baar ho gayaa, *
Duniyaa me.n kaun kaun na yak baar ho gayaa, 
par muu.Nh phir is tarf na kiyaa us ne jo gayaa,
phiratii hai merii khaak sabaa dar-ba-dar liye ,
aye chashm-e-ashkabaar ye kyaa tujh ko ho gayaa,
aagaah is jahaa.N me.n nahiii.n Ghair be Khudaa.N ,
jaagaa wahii idhar se jo muu.Nd aa.Nkh so gayaa,
tuufaan-e-noah ne to Dubaaii zamiin faqat, 
mai.n nang-e-khalq saarii Khudaaii Dubo gayaa,
baraham kahii.n na ho gul-o-bulbul kii aashatii ,
Darataa huu.N aaj baaGh me.n wo tu.nd khuu gayaa,
waaiz kise daraawe hai yom-ulhisaab se ,
giriyaa.N meraa to naamaa-e-aamal dho gaya,
phule.nge is zabaa.N me.n bhii gulzar-e-maarafat, 
yaa.N mai.n zamiin-e-sher me.n ye tukhm bo gayaa,
aaya na aitadaal par haragiz mazaaj-e-dahar ,
mai.n garche garm-o-sard-e-zamaanaa samo gaya,
aye "Dard" jis kii aa.Nkh khulii is jahaa.N me.n ,
shabanam kii tarah jaan ko apanii wo ro gayaa.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 297