donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Khwaja Mir Dard
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ham tujh se kis havis ki falak justajuu kareN *
Ham tujh se kis havis ki falak justajuu kareN 
Dil hi nahiiN rahaa hai jo kuchh aarazuu kareN

MiT jaayeN aik aan meiN kasarat namaiyaaN 
Ham aayine ke saamne aa kar jo hoo kareN 

Tar-daamani pe sheiKh hamaari na jaaiyo 
Daaman nichoa.D deN to farishte vazoo kareN

Sar taa qadam zubaaN hai jooN sham'a go ke ham 
Par ye kahaaN majaal jo kuchh guftagoo kareN

Har chaNd aayina hooN par itana nahiN qabool 
mooNh phair le vo jiske mujhe roo-ba-roo kareN

Ney gul ko hai sabaat ney ham ko hai aitabaar 
Kis baat par chaman havis-e-rang-o-boo kareN 

Hai apni ye salaah ke sab zahidaan-e-shehr 
Ai Dard aa ke bait-e-dast-e-sabuu kareN
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 294