donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Khwaja Mir Dard
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Apane taaiin to har ghadii Gham hai, aalam hai, daagh hai *
Apane taaiin to har ghadii Gham hai, aalam hai, daagh hai
yaad kare hamen kabhii kab ye tujhe dimaagh hai

ji kii Khushii nahiin giro sabz-o-gul ke haath kuchh 
dil ho shaguftaa jis jagah wo hii chaman hai baagh hai

kis kii ye chashm-e-mast ne bazm ko yuun chhakaa diya 
masl-e-habaab sar nagun sharam se har ayaagh hai

jalate hii jalate subah tak guzarii use tamaam shab 
dil hai ke sholaa hai koii, shamaa hai yaa chiraagh hai

paaiiye kis jagah bataa aye but-e-bewafaa tujhe 
umr-e-guzashtaa kii tarah gum hii sadaa suraagh hai

sair-e-bahaar-o-baagh se ham ko maaf kiijiiye 
us ke Khayaal-e-zulf se dard kise faraagh hai?
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 291