donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Khwaja Mir Dard
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Biimaar hai.n to ab dam-e-isaa kahaa.N se aaye, *
Biimaar hai.n to ab dam-e-isaa kahaa.N se aaye,
us dil me.n dard-e-shauq-o-tamannaa kahaa.N se aaye, 

[dam-e-isaa=breath of Jesus] 

bekaar sharaa-e-lafz-o-maanii se faayedaa,
jab tuu nahii.n to shahar me.n tujh saa kahaa.N se aaye ,

har chashm sang-e-Khizb-o-adaavat se surKh hai,
ab aadamii ko zindagii karanaa kahaa.N se aaye, 

[chashm=eye; sang=stone; Khizb=lies]


vahashat havas kii chaaT ga_ii Khaak-e-jism ko,
be-dar gharo.n me.n shaql kaa saayaa kahaa.N se aaye ,

[vahashat=terror; havas=lust; Khaak=dust]
 

ja.D se ukha.D gaye to badalatii ruto.n se kyaa,
be-aab aa_iino.n me.n saraapaa kahaa.N se aaye ,

[ be-aab aa_iinaa=a mirror incapable of reflecting images]


saayo.n pe aitamaad se uktaa gayaa hai jii,
tuufaan me.n zindagii kaa bharosaa kahaa.N se aaye ,

[aitamaad=faith] 

Gham ke thapere le gaye naagi.n se lambe baal,
raato.n me.n ja.ngalo.n kaa vo saayaa kahaa.N se aaye ,

’Naheed’ faishano.n ne chhupaaye hai.n aib bhii,
chashme.n na ho.n to aa.Nkh kaa pardaa kahaa.N se aaye. 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 314