donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Kishwar Naheed
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kahaniya'n bhi gai qisa_Khwaniya bhi gai, *
Kahaniya'n bhi gai qisa_Khwaniya bhi gai, 
wafa ke bab ki sab bezubaniya bhi gai, 
wo beziyabi-e-Ghum ki sabil bhi na rahi, 
lota yu'n dil ki sabhi be-sabatiya bhi gai, 
hawa chali to hare patte sookh kar toote ,
wo subah ai to hairan_numaiya bhi gai ,
we mera chehra mujhe aine mai'n apna lage, 
usi talab mai'n badan ki nishaniya bhi gai, 
palat palat ke tumhein dekha par mile bhi nahi, 
wo ahad-e-zabt bhi toota shitabiya bhi gai, 
mujhe to ankh jhapakna bhi tha gara lekin, 
dil-o-nazar ki tasawor_shi`ariya bhi gai, 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 319