donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Krishan Bihari Noor
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Tamaam jism hii ghayal tha ghaaw aisa *
Tamaam jism hii ghayal tha ghaaw aisa 
Koyi na jaan sakaa rakh-rakhaaw aisa tha

Bass ik kahaanii huyi ye paDaaw aisa tha
Merii chitaa ka bhi manzar alaaw aisa tha

woh hamko dekhta rahataa tha ham taraste the
Hamaarii Chat se vahaa.N tak dikhaaw aisa tha

kuCh aisii saa.Nsei.n bhi lenaa paDii jo bojhal thii.n
hawaa ka chaaro.n taraf se dawaaw aisa tha

khriidte toh khariidaar khud hii bik jaate
tape huye khare sone kaa bhaaw aisa tha

hai.n daayarey mei.n qadam ye na ho saka mehsuus
rahe-e-hayaat mei.n yaaro ghumaaw aisa tha

koyii Thahar na sakaa maut ke samandar tak
hayaat aisii nadii thii bahaaw aisa tha

bass uskii maa.Ng mei.n sinduur bhar ke lauT aaye
hamaarey agley janam ka chunaaw aisa tha

phir uske baad jhuke to jhuke khudaa kii taraf
tumhaarii simt hamaara jhukaaw aisa tha

woh jiska khuun tha woh bhi sinaakht kar na saka
hatheliyo.n pe lahuu ka rachaaw aisa tha

zabaa.N se kuCh na kahuunga ghazal ye haazir hai
dimaagh mei.n kayii din se tanaaw aisa tha

fareb de hii gayaa ‘NOOR’ uss nazar ka khuluus
fareb kha hii gayaa mai.n subhaaw aisa tha 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 590