donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Krishan Bihari Noor
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Usii kii eik adaa Chiin kar sataau.N usey *
Usii kii eik adaa Chiin kar sataau.N usey
usey mai.n dekhuu.N magar mai.n nazar na aau.N usey

judaayi kii ho ghaDii yaa milan kii belaa ho
bahaana haath lagey toh galey lagaau.N usey

yahaa.N pe bhii toh usii ke karam ka huu.N mohtaaj
kisii ghazal mei.n Dhaley woh toh gungunaau.N usey

ajiib tarah kii shartei.n lagaayii.n hai.n usney
mai.n apney aap ko Chorhuu.N kahii.n toh paau.N usey

ibaadat usskii karuu.N aur kuCh talab na karuu.N
woh aazmaaye mujhe,mai.n na aazmaau.N usey

na aarzuu hai koyii aur na koyii maqsad-e-ziist
hayaat jitnii bachii hai kahaa.N khapaau.N usey

kahaa.N kii haar mohabbat mei.n aur kaisii jiit
mai.n ruuTh jaau.N kabhii khud,kabhii manaau.N usey

kisii sawaal ke uskaa koyi jawaab na duu.N
miley woh abke toh uljhan mei.n Chorh aau.N usey

mazaa toh jab ke merii kamii usey bhi khaley
kabhii mei.n biChDuu.N toh aiy 'Noor' yaad aau.N usey
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 704