donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Kumaar Paashii
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Aandhi thi tez, koi khabar bhi na pa sakaa *
Aandhi thi tez, koi khabar bhi na pa sakaa
dil ke shajar pe aik hi patta tha aas ka.

us ke badan kii dhoop ka aalam na poochhiye
jaltaa ho jis tarah koii jungal kapaas ka.

us khoobru ka shehr hai aaNkheN khuli rakho
kuchh lafz bhi to lete chalo aas-paas ka.

us ko gaye huye to ab ik umr ho chali
dil meiN magar hai aaj bhi aalam hiraas ka.

hai aaNdhiyoN ka zor chamkatii hai barq-si
aur hum banaaye baithe haiN ik ghar kapaas ka.

garmi hai jaise dhoop meiN uske hi jism kii
aur chaandni meiN noor hai uske libaas ka.

dil par guzar rahi hai jo, karte chalo raqam 
"pashi" yahi hai raasta gham ke nikaas ka.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 316