donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Kumaar Paashii
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Insaan ke lahoo ka wo dariya nahiN rahaa *
Insaan ke lahoo ka wo dariya nahiN rahaa
lagtaa hai shehr meiN koi zinda nahiN rahaa.

roshan hai chaaNd aaj bhi is shehr ka magar
pehle-sa khair-o-shar ka tamasha nahiN rahaa.

maiN bhi wahi huN aur mera shehr bhi wahi
lekin jo aashna tha wo chehra nahiN rahaa.

raahoN meiN apni ghor andhera hai door tak
shayad diloN meiN apne ujaala nahiN rahaa.

ab ru-b-ru haiN donoN mukhote utar ke
ab darmiyaN meiN koi bhi parda nahiN rahaa.

taza khabar hai ye ki samandar ke vast meiN
jo jagmagaa rahaa tha jazeera nahiN rahaa.

"pashi" bichhaR ke us se baRi mushkiloN meiN huN
jo jee rahaa tha mujh meiN wo zinda nahiN rahaa.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 325