|
* Ab bhi pal pal jee dukhta hai *
Ab bhi pal pal jee dukhta hai,
jaise sab kuchh abhi hua hai.
kabhi na phir milna ho jaise,
aaj wo mujh se yuN bichhRa hai.
baadal to khul kar barsaa tha,
phir bhi sara tan jaltaa hai.
ghaRi ghaRi maiN chauNk uth_taa huN,
pal pal kya hone lagtaa hai.
hum bhi kabhi khush ho lete the,
aaj achanak yaad aaya hai.
maiN huN mor ghane jungal ka,
tu kali ghanghor ghataa hai.
jungal jungal aag lagi hai,
dariya dariya khooN behta hai.
saawan ho, patjhaR ho ki gulrut,
dil har mausam meiN tanha hai.
"pashi" kiski madah meiN tumne,
aaj itnaa kuchh kah dala hai. |
|