|
* Jab naam teraa pyaar se likhtii hai.n u.Ngaliyaa.N *
Jab naam teraa pyaar se likhtii hai.n u.Ngaliyaa.N,
merii taraf zamaane kii uThatii hai.n u.Ngaliyaa.N ,
daaman sanam kaa haath me.n aayaa thaa ek pal,
din raat us ek pal se mahakatii hai.n u.Ngaliyaa.N,
jis din se duur ho gaye us din se hii sanam,
bas din tumhaare aane ke ginatii hai.n u.Ngaliyaa.N,
patthar taraash kar na banaa taaj ek nayaa,
fan_kaar kii zamaane me.n kaTatii hai.n u.Ngaliyaa.N.
|
|