donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mahir Nizami Jhansvi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Tajir Hoon Magar Aisi Tijarat Nahi Karta *
Tajir Hoon Magar Aisi Tijarat Nahi Karta
Bechoon Me Gazhal Ko Ye Himakat Nahi Karta 
Har Gum Ko Kaleje Se Laga Leta Hu Lekin 
Mein Rab Se Kabhi Apni Shikayat Nahi Karta 
Bhai Ko Musibat Se Bacha Letien Hai Behne 
Behno Ki Magar Bhai Hifazat Nahi Karta 
He Kaam Siyasi To Kisi Aur Se Milye 
Me Shayiry Karta Hoon Siyasat Nahi Karta 
Aaine Ko Jab Duniya Me Jhutla Diya Tune
Jaa Me Bhi Teri Koi Himayat Nahi Karta 
Is  Daur Ke Muslim Ka Ajab Haal Hai Dekho
Quaran To Rakhta Hai Tilawat Nahi Karta 
Darta Hoon Khudha Se Me Bahut Darta Hoon Lekin 
Mahir Me Dikhave Ki Ibadat Nahi Karta 
(Mahir Nizami Jhansvi )
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 368