donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mahir Nizami Jhansvi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Sachi Hai Piyar Ki Tu Nishani Likhenge Hum *
Sachi Hai Piyar Ki Tu Nishani Likhenge Hum 
Ae Taaj Teri Jab Bhi Kahani Likhenge Hum 
Jis Per Kisi Ki Maut Ka Hotha Nahi Asar
Uske Laho Ko Dosto Pani Likhenge Hum 
Ghar Ghar Me Raaj Dosto Mehengai Ka Hai Ab
Isko Hi Apne Dor Ki Rani Likhenge Hum 
Jiske Liye Samaj Me Koi Jagah Nahi 
Apni Ghazal Me Uski Kahani Likhenge Hum 
Mahol Afra Tafri Ka Choro Taraf Hai Aaj
Phir Kaise Wardaat Purani Likhenge Hum 
Aaaqa k Naam Aayega Jab Bhi Zubaan Par 
Unka Nahi Hai Koi Bhi Shani Likhenge HUm 
Mahir Tujhe Jahaan Se Bhulaya Na Jayega 
Apne Laho Se Teri Kahani Likhenge Hum 

mahir nizami jhansvi  
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 317