* karta nahi hai pyaar koi pyaar ki tarah *
karta nahi hai pyaar koi pyaar ki tarah
lagne laga hai pyaar bhi vyapaar ki tarah
ghar main sajay baitha hoon darbar ki tarah
aaja tu mujh se mil ne mere yaar ki tarah
Basti mai ab hamari gareebi ko chod kar
sab kuch badal gaya nayi sarkar ki tarah
main jeet to gaya hoonmagar tum se jeet kar
ye jeet lag rahi hai mujhe har ki tarah
sach baat sun na pao ge main kah bhi don agar
Chubhne lagaige lafz bhi talwaar ki tarah
Is sar zamin se zulm mitane ke waste
aaye ga koi fir usi kirdar ki tarah
Samjha nahi hai koi bhi padne ke baad bhi
sab ne pada hai bas mujhe akhbaar ki tarah
Mahir ghazal suna ke zamane ko aaj fir
ham ne bhi daad mang li haqdaar ki tarah
Mahir Nizami Mumbai
|