donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mahir Nizami Jhansvi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Apne qalam ko aaj kuch fankaar bechkar *
Apne qalam ko aaj kuch fankaar bechkar
Doolat kmane nikle hain kirdaar bechkar

Izzat mili jo tum ko use yaar bech kar
Tum bhi ameer ban gaye kirdaar bech kar

Aafsos to yahi hai ke hum ne ye kya kiya
sab ki nazar se gir gaye dastaar bech kar

Izzat bahin ki lut gayi tum dekhte rahe
Ab chudhiyaan khareed lo talwaar bech kar

Bachche palak jhapakte hi bas khel khel men
Dekho ameer ban gaye sansaar bech kar

Suda kabhi zameer ka hamne nahi kiya
bachchon ko apne pala hai akhbaar bech kar

Faslain tamaam umr ugaye hain piyaar ki
Nafrat main kyoon khareedon bhala piyaar bechkar

Mahir mujhe bhrosa hai maan ki duaaon par
Maan ki khushi khareed li ghar baar bech kar

MAHIR NIZAMI MUMBAI
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 347