donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mahir Nizami Jhansvi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jo khush numaa thin fazayin unhi fazaon se door *
Jo khush numaa thin fazayin unhi fazaon se door
Bahut udaas hoon maen jaa ke apne gaon se door
Kmaa to lawo ge daulat wedesh jaa ke magar
Raho ge kaise bhla apni maan ki chhaon se door
Khushi hai mujh ko ke main bhi gulaam uska hoon
tamaam duniya ko jisne kiya khataon se door
Hai bhai chare ki khushbu yahaan hawaon mein
koyi rahega bhla kaise in hawaon se door
Watan sawarainge kal dekhna yahi bachche
Hamesha rakhna inhain sar phiree hawaon se door
Karam ye uska hai uska hi bas karam hai ye
balayin door hai mujh se main hoon balaon se door
Sabhi ke sath hain majburiyaan bhi ye Mahir
kushi se jata nahin koi apne gaon se door

Mahir Nizami Mumbai
*****
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 398