donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mahir Ratlami
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Hazar ghum the meri zindgi akeli thi *
Hazar ghum the meri zindgi akeli thi
Khushi jahan ki mere waste paheli thi

wo aj bach ke nikalte hain mere saye se
ki main ne jin ke liye ghum ki dhoop jheli thi

juda hui na kabhi mujh se gardish-e-daura
meri hayat ki bachpan se ye saheli thi

charha rahe hain wo hi aj astin mujh par
ki jin ki piTh pe kal tak meri hatheli thi

ab un ki qabr pe jalta nahi diya koi
ki jin ki dahar main roshan bahut haweli thi

wo jhuk ke phir meri turbat pe kar rahe hain salam 
isi ada ne to "Mahir" ki jan le li thi
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 504