donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mahmood Ayaz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* KaroroN saal kaa dekhaa huaa tamaashaa hai *
KaroroN saal kaa dekhaa huaa tamaashaa hai,
yah raqs-e-ziist ki be-qasd-o-be-iraadaa hai,

ajab mauj subuk-ser thii havaa-e-jahaaN,
guzar gaii to koii naqsh hai na jaada hai,

nishaat lamhe ki voh qiimateN chukaaii haiN,
ki ab zaraa sii masarrat pe dil laraztaa hai,

akela maiN hii nahiiN aye tamaashaagaah-e-jahaaN,
jo sabko dekh rahaa hai voh bhii tanhaa hai,

usii se rishta-e-dil usii se ruugardaaN,
usii ko DhuunDh rahaa huuN usii se jhagDaa hai.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 489