|
* Har ik gharri bikkhar raha hoon *
Har ik gharri bikkhar raha hoon
main waqt hoon,guzar raha hoon
logon k dil main jaanay kab se
ban ban k gham utar raha hoon
chehron pe hay meri kahaani
har aankh main bikkhar raha hoon
lay aaii zindagi kahaan par
apni sadaa se dar raha hoon
shehron main aadmi buhat hay
insaan talaash kar raha hoon
haalaat phir bigarr gaye hain
or main k phir sanwar raha hoon
anjaam ki mujhe khabar kia
toofaan hoon, bapphar rahan hoon
gharqaab hogaye maani
alfaaz ka bhanwar, raha hoon
sehme huay hain saare raste
dar dar k paaon dhar raha hoon
laakhon hi rangaton main ik main
be rang hoon, ubhar raha hoon
dunya buhat badal gaii hay
main bhi to main kidhar raha hoon
khaamosh hogaya zamana
khud se kalaam kar raha hoon
yoon jee raha hoon SHAM jaise
koi gunaah kar raha hoon |
|