donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mahtab Mahir
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Aap ke jaisa main ban jaon ye mere se nain ho sakta *
Aap ke jaisa main ban jaon ye mere se nain ho sakta
Abba ka dhan baith ke khaon ye mere se nain ho sakta
Shan dekhane hajj ko jaon ye mere se nain ho sakta
Aur wahan se sona laon ye mere se nain ho sakta
Apne ko main sher sunaon ye mere se nain ho sakta
Apna bheja khud hi khaon ye mere se nain ho sakta
Dawat do to khana khane aap ke ghar aasakta hoon
Bachchon ka main tohfa laon ye mere se nain ho sakta
Molvi saheb aap ke jaisi himmat kab kar sakta hoon
Masjid ka main chanda khaon ye mere se nain ho sakta
Dunya ki har cheez tumhare qadmon men la sakta hoon
Chand par jakar mitti laon ye mere se nain ho sakta
Gali men mujh ko peet lo bhai main koi neta to nahin
Chaurahe par joota khaon ye mere se nain ho sakta
Bachchon ko tum jetni baar kaho nahlaon aur ghumaon
Lekin inko doodh pilaon ye mere se nain ho sakta
Aag laga doonga main apne sheron ko lekin “mahir”
Allam ghallam sher sunaon ye mere se nain ho sakta
******************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 381