donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mahtab Mahir
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* BAHUT KAHA THA KHATA AISI BAAR BAAR NA KAR *
BAHUT KAHA THA KHATA AISI BAAR BAAR NA KAR
KISI HASINA SE HAR GIZ TU PEYAAR WE-YAAR NA KAR
BARAT KA HAI YE KHANA TU CHAANP LE KHOOSAT
FREE KA MAAL HAI KHAYE JA AUR SHUMAAR NA KAR
ABHI BHAGAUNE MEN RAKH-KHI HOYI HAI BIRYANI
ABHI SE KHANE KE TABLE PE LOOT MAAR NA KAR
PASAND KARHI LIYA US KO TERE BHAI NE
TU CHASHMA KALA LAGA ANKHEN AB TU CHAAR NA KAR
GHAZAL UDHAR JO MANGI TO KAH GAYE USTAD
YE CASH KAAM HAI BETA UDHAR WU-DHAAR NA KAR
MAIN SEENA TAAN KE GHUSTA HOON TERI GALIYON MEN
TERA DAMAAD BANOON GA TU MUJH PE WAAR NA KAR
HAMARE BEESWEN BACHHE PE DADA JI BOLE
TU SHIJRAH RAHNE DE SHIJRE KO AB ASHJAAR NA KAR
MAIN SEB LAYA HOON CHUP CHAAP KHALO TUM IS KO
TUMHARE BAAP KA NAUKAR NAHIN ANAAR NA KAR
SAWAL KAR KE MAIN PAHLE HI PHANS GAYA “MAHIR”
 “JAWAB DE KE MUJHE AUR SHARM SAAR NA KAR
****************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 336