donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mahtab Mahir
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Biwi dekhayi de na hi bachcha dekhayi de *
Biwi dekhayi de na hi bachcha dekhayi de
Ab khowab men bhi us ka hi chehra dekhayi de
Sharmeela hema malini malika ho jaisy tum
Chehra tumhara mujh ko to aisa dekhayi de
Sab kah rahe hain usko bhale se churail hi
Mujh ko wo dekhne men patakha dekhayi de
Yeh jhoote khowab dekh ke main thak gaya hoon ab
Mujh ko kam az kam eik to sachcha dekhayi de
Murghe se kam pe aate nahin molvi bhi ab
Jate kahan hain ab jahan bhainsa dekhayi de
Bhooka dekhayi de na to nanga dekhayi de
Us ko bas apne mahal ka naqsha dekhayi de
Chande pe zindagi ka guzara tha dosto
Ab khowab men bhi mujh ko to chanda dekhayi de
Sari pahen ke nikli thin bazaar men woh jab
Abba ko bhi bas unka hi mukhra dekhayi de
Etni pari hai usko to chappal se maar waar
Mahir ko ab to din men bhi tara dekhayi de
*****************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 341