donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mahtab Mahir
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* pachta rahe hain door se us ko bula ke hum *
pachta rahe hain door se us ko bula ke hum
sanjeeda ho gaye hain ab laat khake hum
paisa to sara ghar ka parhai men lag gaya
kharcha chala rahe hain ab rekhsha chala ke hum
tanha main thore bhaga tha majnoo bhi saath tha
us ki gali se bhage the jab dum daba ke hum
sab hans rahe the meri halat ko dekh kar
“machli pakar rahe the ainak laga ke hum”
who ban sanwar ke saath kisi ke chali gayi
baithe howe the ketne arman saja ke hum
ghalti se chat pe Saali ko hum ne jaga diya
begum se pit rahe hain ab usko jaga ke hum
***********
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 407