donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mahtab Mahir
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* nahin kiya tha kabhi aisi dil lagi maine, *
nahin kiya tha kabhi aisi dil lagi maine,
tamam umr nibhai hai dosti maine,
guzaar di hai hans hans ke zindagi maine,
nahin dekhayi kabhi apni be basi maine,  
tamam umr guzari hai uski yaadon men,
jala ke dil ko kiya ghar men roshni maine, 
khoshi se jhoom utha dil ka goshah goshah bhi,
tumhare aane ki jab bhi khabar suni maine, 
purani yaadon ne dil ko jhinjhor dala hai,
jo dekha door se us yaar ki gali maine ,
mere wajoood men wo bas gaya hai kuch aise,
badan men tairte dekhi hai gud-gudi maine,
jawaaz dhoondh raha tha mila hai ghalib se,
bhigo ke roti se pi li sharab bhi maine,
tumhare naam pe mahfil saji hai aaj ki yeh,
tumhare sadqe men ki hai yeh shayeri maine.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 371