donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mahtab Mahir
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* us ko main deg likhoon ya ki pateela likkhoon *
us ko main deg likhoon ya ki pateela likkhoon  
saas kahti hai ki biwi ka qaseedah likkhoon    
bhai hai laila ka wo, main bhi to kuch lagta hoon   
sochta hoon ki use piyaar se sala likkhoon   
aankh se kani hai phir bhi hai wo rani meri   
us ko hema main likhoon ya k karina likkhoon   
leke bhaga hai wo mahbooba ko meri yaro   
ab batao use kis moonh se chachcha likkhoon    
baat apne pe hi aajati hai donon surat     
ulloo likkhoon ya use ullu ka pattha likkhoon   
wada karke wo kabhi milne nahin aata hai    
us ko insaan likhoon ya koi neta likkhoon  
baad muddat ke jo begum ka howa hai jana   
mujh se hota nahin phir se use aana likkhoon    
chautha shauhar hoon main uska aur halat ye hai    
mujh se wo kahti hai main usko sharifa likkhoon   
is qadar dubli si patli si meri biwi hai   
us ko main seenkh likhoon ya ki pasanda likkhoon  
**************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 309