donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Majaz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kuchh tujh ko Khabar hai ham kya kya, ai shorish-e-dauraaN bhool gayey *
Kuchh tujh ko Khabar hai ham kya kya, ai shorish-e-dauraaN bhool gayey
Wo zulf-e-pareeshaaN bhool gayey, wo deeda-e-giryaaN bhool gayey

Ai shauq-e-nazaara kya kahyay, nazroN meiN koi soorat hi nahiN
Ai zauq-e-tasawwur kya keejay, ham soorat-e-jaanaaN bhool gayey

Ab gul se nazar milti hi nahiN, ab dil ki kali khilti hi nahiN
Ai fasl-e-bahaaraaN ruKhsat ho, ham lutf-e-bahaaraaN bhool gayey

Ye apni wafa ka aalam hai, ab un ki jafa ko kya kahyay
Ek nashtar-e-zehr aageeN rakh kar, nazdeek rag-e-jaaaN bhool gayey
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 419